Hai yaad mulaqaat ki woh shaam abhi tak
Mein tujhko bholane mein hoon nakaam abhi tak
Aa tujh ko dikhaon k tere ba’ad ay sitamgar
Weran paray hein ye dar-o- baam abhi tak
Gar tark-e-taaluq ko hoa ek zamana
Honton pe machalta hai tera naam abhi tak
Mehsos ye hota hai k woh hum se khafa hein
Kya tark-e-muhabbat ka hai elzam abhi tak
Maikhane mein bhoole se chale aye they “Mohsin”
Ahbab ki nazrao mein hein badnaam abhi tak…
----------------------------------
Matti k jitne ghar mein banata chala gaya
Ek shakhs khafa ho k girata chala gaya
Woh mujh se buhat door door bhagta raha
Jitna mein us k naaz uthata chala gaya
Ek mere waste hi us ne dard rakhe they
Baqi to woh har ek ko hansata chala gaya
Thi haath mein taqat par dil nahien mana
Us k siwa mein sab ko harata chala gaya
Dil us ki yaad k jitne chiraag they roshan
Un ko bhi sitamgar woh bhujata chala gaya…
--------------
ummiid se kam chashm-i-khariidaar meN aaye
ham log zaraa der se baazaar meN aaye
sabhii ko gham hai samandar ke khushk hone kaa
ki khel khatm huaa kashtiyaaN Dubone kaa
na jiskii shakl hai koii na jiskaa naam hai koii
ek aisii shakl kaa kyuuN hameN azl se intezaar hai
phir kahiiN Khwaab-o-haqiiqat kaa tasaadum hogaa
phir koii manzil-e-benaam bulaati hai hameN
zindagii jaisii tavaqqo thii, nahiiN, kuchh kam hai
har ghaRii hotaa hai ehsaas kahiiN kuchh kam hai
log sar phoR kar bhii dekh chuke
gham kii diivaar TuuTtii hii nahiiN
is natiije pe pohaNchte haiN sabhii aaKhir meN
haasil-e-sair-e-jahaaN kuchh nahiiN hairaani hai
markaz-e-diida-o-dil teraa tasavvur thaa kabhii
aaj is baat pe kitni haNsii aati hai hameN
voh dekh lo, voh samandar khushk hone lagaa
jise thaa daava merii pyaas bujhaane kaa
zamiiN terii kashish khiiNchti rahii hamko
gaye zaruur the kuchh duur mahtaab ke
---------------------------
Friday, October 22, 2010
Thursday, October 21, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)